Thursday, June 03, 2004

Dil-e-NaAdan

dil-e-naadan tujhe hua kya hai
aakhir is marz ki dawa kya hai

jaan tum pe nisaar karta hoon
ye nahi jaanta dua kya hai

hum hain mushtaq aur wo bezaar
ya ilaahee! ye maajra kya hai
[ mushtaaq = interested, bezaar = displeased/sick of ]

hamko unse wafa ki hai ummeed
jo naheen jaante wafa kya hai

'Ghalib'

1 comment:

a_beautifulmind said...

Its really one of the great work by Ghalib!